Chand saal pehle ki baat he k me apne dost se milne gaya,hamari dosti buhat purani thee aur abhi b he magar fursat na milne k waja se me he nhe ja pata, to ajkal wo thora naraz he. Bulawa bhi bheja mgr phr b me na ja saka. wo bhi ek baba type ki cheez he,jab bhi jao kuch na kuch nae cheez sekhne ko mil he jati he.
kuch saal pehle jab me us se milne gaya to wo mulaqat yadgar rahee,uske bad b ikka dukka milte rahe mgr us mulaqat me usne mjhse aik bari baat kardi. usne kaha yaar samadar ki lehron ka kabhi mushahida kya he? maine kaha yaar hum to samandar k kinare kuch aur he mushahidat karne jate hen, to muskra kar bola hamari zindagyan in samndar ki lehroon ki manind hen,samandar ki lehren hawa k zor par kinare ko choone ki poori porri koshish karti hen,jan laga deti hen,magar wohee hawa ka zor unko wapas bhi khench leta he, magar wo lehren apna kinara paane ki arzoo aur justajoo musalsal jari rakhti hen, aur himmat nhe harteen.
humen apni zindagy bhi kuch in lehron ki tarha guzarni chahye,kinare tak puhnchane k lye zindagy me bhi koe na koe hawa ka jhonka aa he jata he, aur kinare tak puhnchate puhnchate humen phr peeche dhakel deta he, magar aisa karte karte kabhi kabhar hum himmat har jate hen aur khud ko samndar k hawale kardete hen.
Maine kaha yaar wo sab baat theek he magar kinara mil gaya to bas wo arzoo aur justajoo ka silsila khatam hojaega na,phr kya karna he? uske baad zindagy ka kya maqsad reh jata he, kisi arzoo ya kisi justajoo k beghair zindagy bhi kaisi zindagy.
phr muskraya aur bola budhoo me bhi to yahee keh raha hoon,tmne wohee baat kisi aur tareeke se ghuma k kahi he, me ye keh rha hon k kabhi samandar ki lehren bhi khatam hue hen kinare tak na puhanchne k dukh me? nahe na? yahee zindagy he,koshish karte rehni chahye,kinara mil hee jata he..
uske baad maine ijazat mangi,aur me wahan se nikal k ghar aan puhncha. to ghar aate he uski ye baat maine kahen note bhi kardi thee magar yaad nahe raha k kahan likhi thee,to aaj taqreban koe teen saal baad ye baat yaad agye.. Faheem Akhter

No comments:
جيڪڏهن ممڪن هجي ته پنهنجو تبصرو موڪليو
اهم اطلاع :- غير متعلق، غير اخلاقي ۽ ذاتيارت تي مشتمل تبصرن کان پرهيز ڪريو. انتظاميه اهڙي تبصري کي ختم ڪرڻ جو حق رکي ٿي. هوئن به خيالن جو متفق هجڻ ضروري ناهي.۔ جيڪڏهن توهان جي ڪمپيوٽر ۾ سنڌي ڪيبورڊ انسٽال ٿيل ناهي ته سنڌي ۾ تبصرو لکڻ لاءِ هيٺين خاني ۾ سنڌي لکي ڪاپي ڪريو ۽ تبصري واري خاني ۾ پيسٽ ڪري پبلش بٽڻ تي ڪلڪ ڪريو.۔تبصرو موڪليو