Sunday, May 5, 2013

Ashfaq Baba ke Naam!!!!!!!!

Baba Ashfaq Ahmed farmaya karte the," Log aksar mujhse pochte hen k Ashfaq sahab koe acha sa baba bataen.aur mera jawab hamesha yahee hota tha k babe aap k ird gird mojood hen,dekhne wali aankh honi chahye."

Aaj Kerala India ka ek baba mujhe milgaya,us se dua salam kaafi arse se thee magar wo zyada tar chup rehta tha,bas salam ka jawab dena he aur apne kaam se kaam.mujhe pata nahe tha k wo b koe chhupa hua baba he..uski karyana ki shop he Dammam me. Aaj yun he evening walk k garz se nikla to us ki shop se guzar hua to socha salam bhi karloon aur kuch saman bhi leloon..

Aaj baba g bare mood me lag rahe the to unho ne mere salam ka jawab to dedya magar mere ek tanzya jumle pe jo me unko hamesha kehta rehta tha k " aur sunaen baba g kya haal he,koe pareshani wareshani koe tension wension." to wo bechara mera ye jumla sun kar kehdeta tha k bas bhai theek hoon ALLAH ka karam he.

Aaj jaise he maine apna wohee tanzia jumla unke samne duhraya to kehne lage, "bhai bina pyaas k pani ki ahmyat ka kya pata? aur bina bhook k khaane ka kya maza,isi tarha bina tensions aur pareshani k life ka kya maza." me ye jumla sun k sunnn rehgya.. aur walk se wapas lot te hue poora rasta uski ye baat mujhe jhanjhorti rahee. aur me sochta raha k hum thori thori baat pe pareshan hojate hen,jaise k life he khatam hogye ho..

baat asal me masale k chhote ya bare hone ki nahe,baat he us se deal karne ki,sabit qadam rehne ki, aur apne lashaoor me ye baat bithaane ki k life he to problems bhi rahengee,unse moon morna ya khafa hona ya jaan churana aqalmandi nahe......